Saturday, August 6, 2011

yeh hai meri kahani apni zubaani

akela kahi yuh bhatak raha tha main,
kisi manzil ko talash raha tha main,
rahon mein kitne log aaye aur chalein gaye,
par humari manzil nazaron ke saamne nahi aayi,
chalte chalte ek waqt aisa aaya,
ki hum soch pade ki kya koi manzil paaya,
humein aisa kuch mehsus na hua,
aagey dekha toh chaaron orr paaya dhuan,
issi mein chuppa hoga hamara armaan,
yuhi kissi ki galiyon mein honge badnaam,
ab ek aawaaz humein pukaar rahi thi,
zoro se bijli kadak rahi thi,
barsaat ka pehla aaghaaz tha woh,
jis din hum nikle dhundne uss awaaz ko,
jab laga manzil ab durr nahi,
bas ab aa chuke hai hogi yahi kahi,
chaaron orr tha ghana andhera,
barsaat ne bijli ki taaron tha cheda,
par hum chalte rahein apni manzil ki orr,
jaise humein kheech rahi thi koi dorr,
kahin na ho raha tha koi shor,
jiski taraf hum nikalte ,uss orr
par rahi apni manzil paa hi leta hai,
humne bhi apna sitara dhund hi liya,
jab pohunche uss sitare ke pass,
hum ho raha tha yeh ehsaas,
dil ne kahan yahi hai hamari manzil.
issi ka humein tha intezaar
bas uss din se woh hamari jaan hai
unke liye sab qurbaan hai.


No comments:

Post a Comment